alsi ke chote-chote bij Kai sare nutrition ko Apne andar samete hue hote Hain. Inhen diet mein Shamil karne se aap sehat ke sath sath skin aur balon se Judi samasyaon ko bhi dur kar sakte hain lekin kya aap jante Hain inhen khane ka Sahi Tarika kya hota hai. Agar nahin to Jaan le yahan jisse pa sake jyada se jyada fayde.
flax seeds yani alsi ke biij Kai sare poshak tatvon se bharpur hote Hain. Aise nutritions Jo sehat ke sath sath hamare skin Aur balon ke liye bhi behad faydemand maane jaate Hain. Agar aap Inka niyamit roop se Sevan karte Hain, to isase hone wale fayde aapko kuchh hi hafton mein najar aane lagenge.
kacche flex seeds mein baki dusre anaaj ki hi tarah anti nutrients maujud hote Hain. Jo aapki aanton ko healthy rakhne ke sath-sath poshak tatvon ke behtarin tarike se absorption mein madad karte Hain, lekin kya aap jante Hain inhen khane ka Sahi Tarika kya hai ? To aaiae jante Hain is bare mein…
Mohit Gujjar, Jo ek nutrist hai, ve Apne social media post ke dwara logon Ko swasth banae rakhne ka kam karte Hain. Lifestyle or diet mein Jude unke tips vakai kargar Hain. HAL hi mein unhen alsi ke bijon ka kaise Sevan karna chahie, jisse sehat ko jyada se jyada fayde mile, iske bare mein bataya hai. To aaiae Jaan lete hain iske bare mein.
unka kahana hai ki alsi ke bijon ko khane ka Sahi Tarika hai pahle unhen dhimi aanch per halka bhun Lena. Isase uske poshak tatv aur jyada badh jaate Hain. Jiska asar jald aur jyada dekhne Ko milta hai.
janiye kin tarikon se alsi ke bij ko kha sakte hain ?
- flex seeds ko aap roti banane wale aate mein Mila sakte hain.
- smoothi main mix kar sakte hain.
- salad mein gaurnishing ke roop mein istemal kar sakte hain.
- bhul kar iska powder banakar aata, dudh mein milakar le sakte hain.
- alsi ke bijon ka laddu bhi bahut testy hote Hain.
kitni Matra mein khana chahie
badon ko do SE char chammach flex seeds ka Sevan karna chahie. Vahin bacchon ke liye ek se do chammach kafi hota hai.
yakin maniye ine chijon ko diet mein Shamil kar aap ek sath Kai sare fayde pa sakte hain.
Bahut badiya